Tuesday, October 6, 2009

A Dayy In Your Life


Tum bhi Khafaa ho,

Tum bhi Khafaa ho, log bhi be-raham hain dosto
Ab ho chalaa yaqin, ke bure ham hain dosto
Kisko hamaare haal se nisbat hai kyaa karen
Ankhen tou dushmano ki bhi pur-nam hain dosto
Apne siva hamaare na hone ka gham kise
Apnii talaash mein to ham hi ham hain dosto

Kyun Ulghta

Kyun Ulghta Rehta Hai tu Logo Se Faraz!

Yeh Zrori To Nahi Woh Chehra Sabhe Ko Pyara Lage

Hoslay saray azma baithay,

Hoslay saray azma baithay,

Hum zamanay k ghum utha baithay,

Jis ki chahat main umer bhar tarpay,

Us ki shadi ki biryani kha baithay:)

bada tadpa mein phoolon se zakhmi hokar

bada tadpa mein phoolon se zakhmi hokar

khanjar jo chalta to haal kya hota

bas yahi socha aur oonhe maaf kiya

mere seene main oonka dil hota toh kya hota

Yehi wafa ka sila hai

Yehi wafa ka sila hai to koi baat nhi=
Ye dard TUM ne dia hai to koi baat nhi=
Kis ki majal jo mujh ko kahe bewafa=
Agr ye TUM ne kaha hai to koi baat nhi.

Hm to Nazuk

Hm to Nazuk Hein Bilkul ksi Ehsas ki Trah,
Tum Na Socho ge Humen to Mar Jayen ge!
Pas Rho ya Dur Itna Khyal Rkhna,
k Tum Na Dekho ge Hmen to Mar Jayege,
Titliyon Me or Hum Me Yahi Bat Hy Mushtrik,
Pakr k Jb Choro ge Humen To Mar Jayen ge,
Dil ki Tehni Pe Hi Khila Rehne Do Humari Muhabbat ka Phool,
Jab b Tehni Se Toro ge To Mar Jayen ge.
Kabi Na Milna Hum Se Moj-e-Driya Bun k
Mil k Bichro ge HumSe To Mar Jayen ge…”