Dost ban kar bhi nahi saath nibhanaywala
Dost ban kar bhi nahi saath nibhanaywala
wahi andaaz hai zaalim kaa zamaanaywala
ab ise log samajhate hain giraftaar meraa
saKht nadim hai mujhe daam main laanaywala
kyaa kahain kitane maraasim the hamaare os se
wo jo ek shaKhs hai muonh pher ke jaanaywala
tere hote hue aa jaaty thy saary duniyaa
aaj tanhaa houn to koi nahi aanaywala
muntazir kis kaa houn Toothi hoe dahaleez pe main
kaun aayegaa yahaun koon hai aanaywala
main ne dekhaa hai bahaaroun main chaman ko jalate
hai koi Khwaab kii taabeer bataanaywala
kyaa Khabar thi jo meree jaan main ghulaa hai itanaa
hai wahi mujh ko sar-e-daar bhi laanaywala
tum taqalluf ko bhi ikhalaas samajhate ho 'Faraz'
dost hotaa nahain har haath milaanaywala.


No comments:
Post a Comment